Bilgates Success Story in Urdu/Hindi Full

Bilgates Success Story in Urdu/Hindi





Bilgates k heran kun haqaiq

Doston aj hm baat karen ge dunya k ameer tareen insaan bilgates k baare me k  akhir bilgates ne ye sari dolat kahan se or kese kamai  tou start karte hn.Doston dunya me is waqt 1125 kharabpati (Billionaries) hn jin me se 495 ka taaluq america se h jin me se 1 bilgates nhi hn.Bilgates 61 saal ka 1 Business man h.Bilgates k baare me bari intresting bateen mashoor hn. Jesa k kaha jata h k bilgates ki dolat me har second 250 dollars ka izafa hota h yani k 24 ghante me 21 million dollars bante hn yani agar pakistani rupees me convert kia jae tou ye 2 arab  pakistani rupee bante hn.jo k bilgates ki 1 din ki kamai h jo k 1 na qabil e yaqeen haqeqat h.Bilgates k baare me kaha jata h k agar wo duniya k logon me  har bande ko 15 dollars bhi de de tou us k bawajood us k pass 5 million dollars bach jaen ge. or is waqt dunya ki total abaadi  7 arab se ziada h.Bilgates ki dolat ko agar 1 1 dollar me tabdeel kia jaye tou use 1 jaga se dosri jaga transfer karne k liye 713 boing aircrafts ki zarrorat pare gi.Bilgates k peson ko agar lambai me bichaya jae tou ye zameen se chand tk k fasle se 14 gunah ziada honge.Bilgates agar 35 saal tk apni dolat khatam kare tou use rozana 70 lakh rupey kharch karne parenge.doston bilgates ne kaha tha k agar ap ghareeb peda hue hn tou is me apki koi ghalti nhi lekin agar ap ghareeb marte hn tou is me sirf ir sirf ap ka kusoor h. Bilgates ki total dolat 90,000,000,000 dollars h jo k pakistani rupees me 90 kharab rupee bante hn.

Bilgates ki Zindagi:

Bilgates 28 octuber 1955 ko america me peda hue. Bilgates k walid ka name  William H Gates tha.Bilgates ne 1973 me lakeside school se graduation ki.Bilgates ne jb university me dakhla lia tou un k subjects computer se related hi the.University me bilgates taleem pr tawaja nhi de rahe the or hamesha apna waqt computer lab me guzarte jis ki waja se bilgates ko harvard university se nikal dia gaya.1975 me bilgates ne apne dost k sath mil kr 1 software company banai jis ka name unho ne microsoft rakha or kafi mehnat k baad unhon ne MS DOS operating system banaya.Us k baad IBM company ne microsoft MS-DOS ko kharidne ki khuahish ki lekin bilgates ne aqalmandi se IBM company ko is baat pr qail kia k wo apne hr system me microsoft ko share rakhen ge.IBM ne ye shart man li.Bilgates janta tha k un ka microsoft 1 sone ka anda deni wali murghi h or ratoon raat microsoft aasman ki bulandion pr pohonch gaya.Jo k aj microsoft office k name se mashoor h.Doston bilgates ki 1 khasiat ye bhi h k wo dunya k sakhi insaan bhi hn.
Doston ye thi bilgates ki kahani.Agar koi mistake hui ho tou maaf kijiye ga or isi tarah ki achi achi posts k liye hamare fb page ko like zarror kardijiye or sath me hamen follow kar lijiye.Thanks

Please Don't Forget to like our facebook page...Thanks.

facebook-like-png-icon-0